26.04.2015 Views

مکالمے

مکالمے مقصود حسنی قصور ۔۔۔۔۔۔ پاکستان maqsood5@mail2world.com

مکالمے

مقصود حسنی

قصور ۔۔۔۔۔۔ پاکستان

maqsood5@mail2world.com

SHOW MORE
SHOW LESS

Create successful ePaper yourself

Turn your PDF publications into a flip-book with our unique Google optimized e-Paper software.

مکالمے

مقصود حسن ی

پاکستان ۔۔۔۔۔۔ قصور

maqsood5@mail2world.com

مندرجات

انسان کیڑے مکوڑے نہ یں

Taraqi ke liay

mojoda talimi nazaam main

tabdili ki zarorat

Kya tajarbay aur hunar

ki

paziraee honi chahiay?

انسان کیڑے مکوڑے نہ یں

انسان کسی حادثے واقعے معاملے فکری اور نظری یات

اختالف وغیرہ کے حوالہ سے جذباتی ہو جاتا ہے اور یہ

کوئی غیر فطری بات نہیں۔ ناگہانی صورت ہو تو ردعمل

میں کچھ بھی کر گزرتا ہے۔ عمومی حاالت میں سوچ

سمجھ سے کام لیتا ہے۔ جذباتی حالت میں بھی سوچتا

ہےلیکن سوچ کی سطع عمومی حالت سے مختلف ہوتی

ہے۔ دوسری صورت یہ بھی ہوتی ہے کہ شخص کا معاملے

سے تعلق اور واسطہ کس سطع کا ہے ۔

جذبات کو انسان سے الگ نہیں کیا جا سکتا۔ اگر انسان

جذبات سے عاری ہو گیا تو اس میں اور مشین میں کوئی

فرق نہیں رہ جائے گا۔ تاہم مکمل طور پر جذبات کی انگلی

پکڑنا درست نہ یں۔

آج اخبار میں اوباما اور ہلیری کے بیان کی سہ سرخی

پڑھنے کا اتفاق ہوا۔ دونوں کے بیانات ایک دوسرے سے

اٹوٹ رشتہ رکھتے ہیں۔ اوباما کا کہنا ہے امریکی شہریوں

کو نقصان پہنچانے والوں کا پیچھا کریں گے جبکہ ہلیری

کا کہنا ہے کہ پرتشدد مظاہروں کا کوئی جواز نہیں بنتا۔

اصل ضرورت یہ تھی کہ کہا جاتا اسالمی دنیا تحمل اور

برداشت سے کام لے ہم اس واقعے کا سختی سے نوٹس

لیں گے۔ چاہے یہ محض بیان ہوتا۔ لوگ سمجھتے کہ

امریکی قیادت انسان دوست اور جمہوریت پسند ہے۔ اس

کے معنی یہ بنتے ہیں کہ ہم جو بھی چاہیں کریں یا کہیں

اس کے ردعمل میں کسی کو کچھ کرنے یا کہنے کا حق

حاصل نہیں۔ ہلیری کے مطابق یہ کوئی بات ہی نہیں جو

مرضی کہا جائے۔ دونوں کے بیانوں میں کرختگی اوروں

کے دکھ سکھ نظریات سے کوئی تعلق نہ یں۔

ان بیانات سے واضح ہوتا ہے کہ وہ اپنے معامالت میں

کس قدر جذباتی ہیں۔ اس کے برعکس دوسروں کے جذبات

کا ان دل میں رائی بھر احساس اور احترام نہیں۔ وہ ان کے

ہاتھ اور زبان سے مریں یا جیئیں یہ ان کی سردردی نہ یں۔

گویا یہ سارے کیڑے مکوڑے ہیں اور ان کے نزدیک کوئی

حثیث نہیں رکھتے۔ اوباما یا ہلیری کی بڑی دور کی بات

ہے اسالمی دنیا پر چھوڑے گیےخنزیر پر اسالمی دنیا

گرفت کرنے کا حق نہیں رکھتی۔ اس خنزیر پر جو گرفت

کرنے کی کوشش کرے گا اس کا پیچھا کیا جاءے گا۔ انسان

دوست امریکہ اپنوں کے لیے کتنا جذباتی ہے اوباما کے

بیان سے اندازہ لگایا جا سکتا ہے۔ یہ کھال جذباتی بیان ہے

لیکن چمچے اس کی سو طرح سے تشریح و تفہیم کریں

گے حاالنکہ ان دونوں کے بیانات میں رائ بھر ابہام نہ یں۔

میری تحریر ‏“فیصلے کا وقت آ گیا ہے“‏ کو جذباتی تحریر

کا نام دیا گیا ہے۔ میں نے اس تحریر کو پورے ہوش و

یعن

یوہ

حواس سے قلم بند کیا ہے۔ میں عمر کے جس حصہ میں

ہوں وہاں ہوش مندی کو زیادہ دخل ہوتا ہے تاہم غلطی کے

امکان کو رد نہیں کر سکتا۔ میں نے معاملے کا تجزیہ دالئل

سے کیا ہے۔ کیا یہ سچی باتیں نہیں ہیں۔ احتجاج حق تھا

کیا گیا ۔ اس کا کیا اثر ہوا اوباما اور ہلیری کے بیانات سے

بخوبی لگایا جا سکتا ہے گویا یہ احتجاج ان کے لیے

معنویت سے تہی ہے۔ اوباما کے بیان سے تو یہ واضح

ہوتا ہے کہ اسالمی برادری کے مجرم کو نقصان

دینےوالے پر بھی گرفت ہو گی۔ ی اس کیا غلط نہ یں۔

میں جانتا تھا کہ اس قسم کی باتیں معنویت نہیں رکھتیں۔

میں نے اسی تناظر میں تجاویز پیش کی تھیں۔ وقت حاالت

معامالت نے واضح کر دیا ہے کہ یہ باتوں سے سمجھنے

والی جنسں کب ہیں۔ دل پر ہاتھ رکھ کر بتایے ان سے لین

دین رکھنا انتہائی خسارے کا سودا نہیں ۔ جرم کرنے واال

جرم کرانے واال جرم کی صالح دینے واال مجرم کی مدد

کرنے واال مجرم کی ہاں میں ہاں مالنے والے بذات خود

مجرم نہیں ہیں۔ اوباما اور ہلیری بذت خود مجرم ہیں ان پر

بھی‘‏ تعزیر بنتی ہے جو فلم بنانے‘کردار ادا کرنےاور

فلم کا مواد تخلیق کرنے والے پر بنتی ہے ۔

نفرت کو جبر سے ایک حد تک دبایا جا سکتا ہے جب

معاملہ حد تجاوز کر جاتا ہے تو سونامی بن جاتا ہے۔

سونامی کی راہ میں دیوار رکھنا ممکن نہیں ہوتا۔ امریکہ

آج طاقت کے نشہ میں سرشار ہے۔ وہ سمجھتا ہے کہ یہ

چونٹیاں اور کیڑے مکوڑے ہمارا کیا بگاڑ لیں گے۔ آمر آج

سے پہلے بھی یہی سوچتے آئے ہیں ان کی اس سوچ نے

ان کا نام و نشان تک مٹا دیا۔ طاقت لگام میں رہے تو ہی

کامیاب رہتی ہے۔ مست ہاتھی مول میں کتنے کا کیوں نہ

رہا ہو موت کا لقمہ بنتا ہے۔ امریکی دانشور اہل سیاست

اور بااثر طبقے اس مدے پر سنجیدگی سے غور کریں اور

گورا ہاؤس مکینوں کو مشورہ دیں کہ وہ حد تجاوز نہ

کریں۔ انسانوں کو کیڑا مکوڑا سمجھنے کی بجاءے انسان

سمجھیں اس میں ان کی اور دوسروں بھالئی ہے ۔

I K QAZI

Thu May 17, 2012 2:12 pm

Ghulamana Zainiyat,Mutassib Soach aur

Haqeeqi Illm Sey Beganagi Humey Iss

Par Majboor Karti Hai.Jin Qaomon Mein

Khuddari,Khud in hisari apnay Iqdaar

Par Fakhar Sey Mehroom Ho Jati

Hain.Wo Qoowat e Faisla aur Khud

Ehtemadi Sey bhi Mehroom ho jaati

hain.Unn K Rawaiyon aur Tarz E Amal

Issi Tarah Ka Hota Hai.Sirf Japan hi

Nahih china,Germany,France waghaira

bohat si misalaiun hain humaray

saamnay.

Dr Maqsood Hasni

shukarriya janab

aap ke her lafz main insan ke liay

mohabat aur khalous ke golaboun ki

khush'bu mojoud hai.

Allah aap ko kush rakhe

I K QAZI

Location: Germany

Janab!! Hum Loag Kahan Iss Laiq.Ye

Sab Sunehri Asool aur Ghulab Humey

Humaray Pak Nabi MOHAMMAD (SAW)

K zariye sey Quran o Sunnat Ki Shikal

Mein Atta Kar Diye Gaye Hain.Agar Hum

Inn Par iss k Rooh K Mutabiq Amal

Karen Tou Humey Zehni o Roohani

Khushion aur Sakoon K Saath Saath

Maali Khush Hali Bhi Naseeb

Hogi.Wasaayel aur Daulat K Munsefana

Taqseem Ka Nizaam Humey Ye Deen

Behtar Taor Par Muhaiya Kartha Hai

Agar Hum Iss sey Istefada Uttanay K

Qabil Hon Tou.Hum Mein Sey Aksar

Loag Nimaaz,Rozay,Hajj Waghaira Ko Hi

Islam Samajhnay Lag Gaye Hain.Jab K

Ibaadat ( Jo K Har Surat Mein Aik

Parookar K Taor Par Faraiz Samajh Kar

Adaa Karnay Hongain) Jin Ka Tahaluq

Khaliq O Makhlooq Sey Hai.Jab K Hum

Sey Aik Achay Musalmaan K Taor Par

Humaray Tamaam Muhamlaat Ko Darust

Karnay Ka Taqaza Hai.Jisey Hum Sarf e

Nazar Kar jaatay Hain.Jab Humaray

Muhamlaat Darust Ho jayengain Tou

Dunyavi Aur Ukhravi Zindagi Asaan Ho

Jaye Gi.Kaash K Hum Waqt Par Idraak

kar saken!!!!!

Dr Maqsood Hasni

aap ka her lafz tarikh ke sinay par sabt

ho raha hai. aatay waqt ke liay aap ka

kaha aaj ki gowahi ho ga.

I K QAZI

Shukria Janaab!!ALLAH Karey K Hum

Tamaam Loag "Hidayat" Payen.Ghalat

Raston aur Rawaihon Ko Tarak Kar K

Achai aur Behtari Ki Taraf Mahil Hon Tou

Shahid Behtari Ki Koi Surat banay/Nazar

aaye.Hum Mey Sey Har Aik Ko Khud sey

Shurooh Kar K Apnay Apnay Hissay K

Faraiz Sar Injaam Deh Kar Hi Ye Manzil

Hassil Kar saktay Hain.

"SHAHID K TERAY DIL MEY UTTAR

JAYE MERI BAAT" K Masdaaq Hum

Awaam Ko Aur Khud Ko Agai Sey

Rooshanaas Karnay Ka Ye Amal Jaari

Rakhengay.

Dr Maqsood Hasni

aap hum'dard shakhas hain aur dua

karty rehty hain ALLAH ap ko khush

rakhy

I K QAZI

Mon Jun 04, 2012 6:53 pm

Aap Samet Ameen!!! Waisey Bhi Hum

Sab Loagon Ki Khushian Aur Gham

Saanjay Hotay Hain.Jab ALLAH TA'ALA

humey Nuhaaf Kar k,Humey Hidayat Deh

Kar Humaray Mulk Ko Iss Makhdoosh

Halat Sey Nikalay GA tOU wO hUM sAB

k lIYE kHUSHIon Ka Bahis Banay.Amal K

saat Saath Humey Ye Dua Bhi Kartay

Rehna Chahiye.

Dr Maqsood Hasni

Dua momun ka hatyar hai.

tovajo k liay shukarriya

http://www.forumpakistan.com/insan-kiray-makoray-nahain-t92600.ht

ml#ixzz3WadfIczt

Taraqi ke liay

mojoda talimi nazaam main

tabdili ki zarorat

Soch main tha kah Maghrab din dogni

raat chogni taraqi kayoon kar raha hai es

kay barakas hum aur hamaray adaray

sadyoon pechay kayoon hain?

Hamaray log Maghrab ki bay’labasi aur

faishan ko taraqi kayoon samjh rahay

hain?

Kiya Hamaray haan zahanat aur wasael

ki kami hai?

Ghoor kiya ja’ay to yah donoon chizain

hamaray haan Maghrab say kahein bhar

kar hain. Maghrab to Shamsi Tavanae

main hamaray moqabal khara nahain ho

pata. Hamaray haan ka unphar Thorimar

Kharadiya Maghrab kay baray say baray

Enjiniar ko Zahanat main kahein pechay

choor sakta hai aur yah baat mein bari

zemadari aur etmad kay keh raha hoon.

Mein nay es moamlay par bara ghoor

kiya hai aur es natijay par ponhcha hoon

kah wahaan kay Colleges aur

Universitiaan tehqeq-o-talash main bara

aham kirdar aada kar rahi hain. Ansted

University, Brown university, Brunswick

university, Chicago University,

Camridge University, Leeds university,

Oxford university, Stanford university,

Harwod Unversity, waghera waghera

main itna kaam howa hai kah shaed hi

hamari koe university oon main say kisi

eak kay moqabal aa sakay. Mazeed

daikhain to yah bhi maloom paray ga

kah wahaan kaam karnay walay

ziyadah’tar hamaray hi haan kay log hain

jabkah west walay damagh ka johar aur

nachoor apnay “khisay” main kar rahay

hain aur hamaray hath kaghaz ka eak

porza thama daitay hain aur hum is

meharbani aur ata par na'seraf kush hain

balkah itratay bhi hain.

Hamaray haan ki research digriaan

mamay chachay ta’ay phupha ahbab aur

nazar niyaz say mashroot hain. Agar en

say kuch bach jata hai to woh kisi waris

walay ko mil jata hai. La’waris magar

zahein-o-fateen bay’chargi aur bay’basi

ki moot mar jatay hain. Na’laeq aur

nakammay logoon ko bari kursiaan ata

kar di jati hain. Etmad aur ilam-o-fazal

say aari logoon kay liay yahaan sab

kuch hai.

Eak aur andhair daikheay Talemi boards

to haad say guzar ga’ay hain. Fi paper

Re. 18/ moavza moqarar kar diya giya

hai jabkah dusara moavza khatam kar

diya giya hai. Mumtahin raqam jama

karnay kay hawala say aur jalad kaam

khatam karnay kay moamla main boards

apna jawab nahain rakhtay. Natija'kar

paper marking kay mosam main machli

mandi lag jati hai aur es tarah zahantoon

ka barsar-e-aam qatal-e-aam hota hai.

Yahaan kursioon kay hawala say log

ilam-o-fazal main naam patay hain ya

pehchanay jatay hain. Kaam kay hawala

say en kursioon par shaed hi koe nazar

aa jay. Agar koe hai to Entazamia ki

baein aankh ka shakaar rehta hai.

Hamaray haan Universitioon say bhar

kar fazal log kaljoon main mojood hain

likin woh baad’qesmati say jahaan thay

arsa daraz baad bhi wahein kay wahein

hain jabkah dusray taraqi kartay kartay

kuch kay kuch ho gay hain.

Mairay khiyaal main taraqi ka eak alag

say miyar hona chahi’ay. Maslan:

Lecture say Assistant Professor kay

liay:

teen thaqiqe moqalay+teen saal ka taqiqi

tajarba ya 6 years teaching experience

Assistant Professor say Associate

Professor kay liay:

6 tahqiqi moqalay+6 years tehqeeq ka

tajarba ya 11 saal teaching experience

Associate Professor say Professor kay

liay:

11 tehqiqi moqalay+ 13 saal tehqeeq ka

tajarba ya 15 saal teaching experience

Professor say Seneior Professor kay

liay:

15 tehqeqi moqalay+16 saal tehqeeq ka

tajarba ya 19 saal teaching eperience

Janch partaal ka moamla intahae khufya

hona chahi’ay kah kisi ko moamlay ki

kanoon kan khabr bhi na honay pa'ay.

Kalaj asatza main say kisi ka koe tehqiqi

kaam internet ya motbar rasalay main

shaya ho to os par increment ki surat

main os ki hosla'afzae hona chahiay.

Taraqi kay moamlay main College aur

University ustad main tafreq na rakhi

ja’ay.

Hamaray haan inerview, intakhab/

slection ka maqool, unda, qabal-e-etmad

parakh ka mayar nahain hai. Wahaan

pasand aur na'psand ko hi dakhal rehta

hai. Es tarah bhi wohi safarshi log hi

sanay aaein gay ya aatay hain.Yah bhi

kah Talemi aur Tahqiqi

dafatar(Secretariates) ka Qebla darust

hona aaj ki aaham zaroot hai.

Jis kolaj ostad ka saal bhar main koe

kaam safa-e-qirtas par nahain aata os ki

sarzanash hona chahiay. Teen saal tak

kuch samnay nahain aata to os ostad ko

mehakma taleem say farag kar dainay

main koe kharabi nazar nahain aati.

HEC darj-e-bala ya es tarah ka koe bhi

miyar moqarar karkay kaljoon aur

universitioon kay ostadza say oon kay

Resume talab kary. Miyar par aanay

walay logoon ki farest bana kar rakhay

jab aur jahaan kahein jis miyar kay ostad

ki zaroot ho mohiya kar diya ja;ay. Es

tarah HEC ko talimi taraqi kay liay qabal

log mayassar aa sakain gay.

Allamah Iqbal Open University

Islamabad, ki taraf tovajo dainay ki

ashad zarorat hai Os kay

arbaab-e-ekhtayar ko khasusan hadaet

kar di ja'ay kah woh MA aur es say bala

digrioon kay liay HEC say Tutarz talab

karay go'kah es say nechay bhi bura hal

hai. Baishak Hakoomat taleem say

dilchaspi rakhti hai likin khali dilchaspi

say kuch nahain honay wala, es kay liay

naserf choor darwazoon ko band karna

ho ga bakah eak miyar moqrar karna

paray ga takah taraqi ka khaab

sharminda-e-tabeer ho sakay.

http://www.forumpakistan.com/taraqi-ke-liay-mojoda-talimi-nazaam-m

ain-tabdili-ki-zarorat-t52227.html#ixzz3X1O7UUEo

Kya tajarbay aur hunar ki paziraee honi

chahiay?

I K QAZI

Location: Germany

Asal Mey sara qasoor Humarey Taleemi

Aur Intezami Dhanchay Ka Hai.Jis Ki

Bunyaad Hi Ghalat Rahi Gai Hai.Issi liye

Iss Par Bani Imarat Bhi Terri,Bad Shikal

Aur Bad Numa hai.Jo Aam Loagon Ko

Faiz Dehnay sey Mahzoor hai.Hunar aur

Tajrubay Ki Ahmiyat Sey Kisi Ko Bhi

Inkaar Nahih Hona Chahiye.Lehkin Agar

Isey Taleem K Zewar Sey Araasta Kiya

Jaye Tou Ye Inn Ko Aur Nikhaar Deh Ga

Balkay Iss sey Behtar Tareeqay Sey

Istefaada Kiya Jaye Ga.Uss K Saath

saath Inn Ba Hunar,Tajruba Kaar Loagon

Ki Ahmiat,Izzat aur Ifadiat Ka Bhi Sabab

Banay Ga.Humarey Haan Taleem Baray

Shahoor ki Bajay Taleem Baray

Roazgaar K liye Istehmaal ki Jaati

Hai.Issi Liye Har Jahez aur Na Jahez

Tareeqon Sey Sanadon yani Certificates

aur Degrees Ko Hasil Karnay Par Tawajo

Markooz rehti hai.Jin Muhasharon Ney

Hamli Taor Par Taraqion K Manazil ko

Teh Kiya Hai.Unnoh Ney Hunar,Tajrubay

Aur Taleem sey Yaksaan aur Behtar

Tareeqon sey istefada kiya Hai.Wo

Kaise? K Unnoh Ney Tamaam Paishon k

Liye Pehawarana Hunar/Tajrubay K

Saath Saath Bunyadi Taleem Ko Zaroori

Qaraar Diya hai.Yani Har Paisha

War,Hunarmand Bunyadi Taleemi

Salaiyat Bhi rakhta Hai.issi Liye

Muhasharey Mey Unn Ki Izzat Ka sabab

Banti hai.Humey Bhi Chahiye K Inn

Mumalik K Tarz Par Aala Taleem yani

Doctors,Engineers,MBA'S waghaira K

saath Saath Hunar Mand Paisha waron

Ko Bhi Taleem K zewar Sey Araasta

Karney Ka sabab Baney.Tha K Unn Mey

Ziada Shahoor,Khud Ehtemadi etc Paida

Ho.Balkay Wo Muhasharay Mein Behtar

Muqaam Pehda Kar Saken.Uss K Saath

saath aanay Wali Naslon Ki Bhtar Tarbiat

Aur Rakhwali Kar saken.Humray Nizaam

Ney Tou Chutt Anparon ya Phir Parrhay

Likhey Jahilon ko Janam Diya Hai.Asal

Cheez Inn K Darmiyan Tawazan Rakhnay

Ki Hai.Iss K Saath Saath Humey Kam Az

Kam lazmi Primary Taleem Ka Nifaaz

Karna Hoga.Jo K "Child Labour" Aur An

Parrh Hunarmandon Ki Bajay Bunyadi

Taleem sey araasta Paishawaron Ko

Paida Karegi.Yahan Par Mey Chotti si

Misaal doon ga K Dara Adam Khel (PKK)

Mey Mojood Asleha (ARMS &

Immunition) K Desi sakhta

Hunarmandon yani asleha sazon Ney

Baghair Taleem K Hunar Aur Tajrubay

Sey Har Qisam K Aslay Ki Copy Bana

Kar Balkay Afghanistan Ki Asli Ibtedai

Jehaad Ka Ziada Tar Hissa Ibtedai Taor

Par Yahin Ki Banaay Huwey Aslay Seya

Kiya gaya Tha.aaj Kar K Maaroozi Surat

Haal Mey Ye Loag Be Roazgar Hain Ya

Phir Talibaan Ya Shidat Pasandon K Liye

Khusi Ya Jabbar Sey Asleha Bana Rahe

Hain.Agar Humari Hakoomat Inn Loagon

K Hunar Aur Tajrubay Sey Istefaada

Karna Chahti Tou Wo Inney Wah Boffors

Ya Nai Technology K hamil doosray

Factories Mey Laga Kar Inn Ki

Salahiyaton Ko Nikhaar saktay Thay

Balkay Daakhli Zarooriat yani

Police,Fc,Army waghaira K Saath Iss K

Behroon Baramaad Sey Zar e Mubadla

Kamanay Ka sabab ban Sakhti

thi.Lehkin Yahan Tou Hukmaranoh ko

apnay Paiton k Liye Loot Mar Sey Hi

Fursat nahih.

maqsood hasni

mein nay zobani kalami baat nahain ki

balkah zati tour par un'gint mukhtalif

shoboun se mota'alaq logoun se mila

houn. mujhy aisay logoun se bhi milnay

ka itfaq howa jo matric main angraizi

main fail ho janay ke sabab arhtoun par

monshiyana kar rahay hain. mein parday

wali yahaan koee baat arz nahain karoun

ga ta'hum itna zarour kahoun ga oon ke

samnay shaed eak CA bhi na tik pa'ay.

kharadiay kya zahein hain wah agar

onhain moqa dain mein kehta houn F.16

bana dain ga.

maira eak aisay shakas se bhi milna

howa jo bijli ke mitar ke pas lamha bhar

ko rok ja'ay yaqein manain mitar ki

nabzain rok jati hain. eak sahib Ac chala

raha hai bijli ki kisi tar se os ka rabta

nahain nahi taar se chori kar raha lkin

chala bijli se raha hai.

mein apni baiti ko dou saal tak

daktaroun ke pas lay kar khajal kawar

howa hoon haram hai jo raee bhar bhi

faeda howa ho. eak milnay walay dost

say baat ki woh hikmat karta tha os nay

mairi baiti ko daikha os say sawal jawab

kiay aur mujhy bazar say kuch chizain

lay kar dein. yaqein to nahain aata tha

phir bhi os ki di hoee dawa di tein din

baad mairi baiti thek ho gaee. daktaroun

ke pas jaein woh test karwaee fees laitay

hain aur test kay razalt ka intazar

karwatay hain. es intazar main mareez

cha'ay mar hi ja'ay aur aisa howa hai.

http://www.forumpakistan.com/kya-tajarbay-aur-hunar-ki-paziraee-hon

i-chahiay-t90785.html#ixzz3X1OfysBm

Hooray! Your file is uploaded and ready to be published.

Saved successfully!

Ooh no, something went wrong!