05.04.2016 Views

hayat_e_goraizaan

Create successful ePaper yourself

Turn your PDF publications into a flip-book with our unique Google optimized e-Paper software.

Hayaat e Goraizaan

Maqsood Hasni

Abuzar barqi Kutabkhana

2016

Hum'jinsi Insaniat ki khoof'nak Dushman

Our Eak Jinsi Khalona

Hum'jinsi Insaniat ki khoof'nak Dushman

Aankh say sonnay,

kan say bolnay

aur monh say daikhnay ki koshesh ya khaesh yaqinun

fitrat kay sath gustakhi ho gi.

Gurday dharak nahain saktay,

dil say pishaab karnay kay azo ka kaam laina hamaqat

aur na'dani say ziyada kuch nahain.

Yah na'siraf fitrat kay khalaf zulm, ziyadti aur sazish ho

gi balkah in aza ko bhi mout kay ghaat otarna ho ga. Baz

log fitrat kay dushmun afaal ko siraf aur siraf chand

lamhoon ki lazat aur lutaf ko rawa rakhtay hain. Is lutaf

lazzat ya illati majbori ki pusht par un'haad noqsanaat ki

ghatri mojood hoti hai. Waqt gozar janay kay baad her

qisam ka dawa daru bai'asar bai'maeni aur la'yaeni

teharta hai.

Aaj kay taraqi pasand aur mafadi ehad main bohat kuch

ghalt ho raha hai aur shakas apna hi noqsan kiay ja raha

hai to is say barh kar koee hairat ki baat nahain ho sakti.

Aaj chahar soo jamhoriat ka charcha aur bool bala

daikhnay sonnay main aa raha hai aur jamhoriat ko her

dukh dard aur aazadi ka madawa samjh liya giya hai

jabkah is say bhar'kar koee na'maqool aur gher fitri

cheez nahain. Eak misal say apnay moaqaf ki wazahat

karna chahoon ga:

Mudat hoee hai yaar ko mehmaan kiay howay

Josh-e-qadah say bazm charaghaan kiay howay

Yah shaiar Ustad Ghalib ka hai. Agar sari donyaan issay

Mir Sahib ka shaiar keh day to bhi yah shaiar Mir Sahib

ka nahain ho sakta. Jamhoriat ka kamal hai kah wo issay

Mir Sahib say mansoob kar sakti hai. Jamhoriat das

main say 6 kay kahay ko darust qarar daiti. Is main baat

ko nahain, ginti ko darust mana aur samjha jata hai.

Jamhoriat yah nahain daikhti kah ghalt ko darust qarar

dainay ka parinaam kiya ho ga aur anjaam ka bhogtaan

kaisay ho sakay ga.

Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hai laikin os kaam

ka barsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya aazad honay ki

haisiat say honay ki noeat qatee mukhtalif hai. Os ghalt

kay hawala say ghalt'kar hi motasar nahain hotay

balkah oon ki ghalt'kari society ko bhi lay dobti hai.

Hum'jinsi ko koee bhi haisiat dainay walay shaed nahain

jantay kah is ka shakas aur society par kiya asar ho ga

aur yah choot ki haisiat ikhtayar kar gaee to pori insani

baradri ka kiya ho ga. Chand mobtala ashkas ki shakasi

aazadi ko lay kar ya ossay vote power samjh kar pori

society ka baira gharaq nahain hona chahiay.

Is ghalt'kari kay noqsanaat kay zimun main chand

morozaat paish karta hoon:

Eak shakhasi discharage say eak karoor aur sola lakh

kay qareeb saparm ka akhraj hota hai. Her saparm main

insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Goya mobtala

eak karoor sola lakh insanoon ki shakti jo os main

mojood hoti hai say la'yaeni mehroom ho giya.Ourat

par dischrage honay say eak ya eak say ziyada insan

janum laitay aur kaenaat kay hosn main azafay ka sabab

bantay hain. Fitri amal say kuch to output samnay aata

hai jabkah hum'jinsi say jinsi khail koee output samnay

nahain lata. Ourat say malaap fitri amal hai jabkah

humjins say malaap gher fitri. Gher fitri amal mosbat

nataej say hum'kinar nahain karta. Is kay manfi nataej

baramad hotay hain. Jo shakhasi aur samaji hawala say

khoof'naak sabat ho saktay hain.

Hum'jinsi say fael kay saparm kamzoor partay hain phir

eak waqt aisa bhi aata hai kah wo mar jatay hain. Fael

kay aala-e-tanasol main jhakao aur taiar'pun aa jata hai.

Fael kay aala-e-tanasal ki bala-o-zarein varidain

kamzoor par jati hain. Pinas ki jild phat jati hai jis kay

zariay kaee bimarioon kay jaraseem dakhal ho saktay

hain. Sozak aisi na'morad bimari lahaq ho sakti hai.

Zarorat parnay par sinaf-e-mokhlif say malaap ki surat

main pachidigiaan rah pa jati hain.

Mada manviya bai'tara ki kharabioon ka shakar ho jata

hai.

Fariqain aala-e-tanasol ko chosnay ka kaam bhi kartay

hain. Yah surat sehhat kay liay intahaee khatar'nak hoti

hai.

Jaryan aur surat-e-anzal ka lahaq hona yaqini ho jata

hai. Surat-e-anzal kay liay adviyaat istamal main laee

jati hai. In adviyaat say:

1-Qovat-e-bardasht khatam ho jati hai.

2- Janoni halat ho jati hai.

3- Gorday matasar hotay hain.

4- Dil ki bimariyaan janum lay laiti hain.

5- Fariqain apni hi nazroon say gir jatay hain aur os kay

aad baihisi ki surat paida ho jati hai.

6-Yaad'dasht ko noqsan ponchta hai.

7- Nafasyati bimariyaan rah pati hain.

8-Chirchara'pun paida ho jata hai.

9- Anis ghalazat ki jaga hai. Aala-e-tanasol ghalazat say

aaluda hota hai. Fozlay say is nazok ozo ka touch hona,

khir ki khabar nahain la sakta.

Fitri amal ki surat main utaras zarorat kay motabaq

saparm lay laiti hai baqi nikal bahar karti hai. Hamal na

teharnay ki surat main bhi saparm andam-nihani main

rok nahain patay. Androni nazam onhain andar roknay

nahain daita. Is kay bar'akas pith main saparm dakhal

ho jaein to bahar nahain nikal patay kayoon'kah Qudrat

nay is ka koee intazam hi nahain kiya. Her saparm main

insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Jab wo andar

hi mar jatay hain to oon ki haisiat mordar ki si hoti hai.

Morda jism main kiray paida ho jatay hain aur yah kiray

apna thikana bana laitay hain.

In ki khorak saparm (admi) banti hai. Is hawala say

onhain adam'khoor kehna ziyada monasab ho ga. Agar

onhain khorak mayassar nahain aati to wo mobtala ko

hi khana shoro kar daitay hain jis kay sabab ossay sakht

parishni la'haq hoti hai. Yah parishni os main wehshat

paida kar daiti hai. Phir woh shakar kay liay nikal parta

hai. Woh her surat aur her qimat par shakar hasal karta

hai. Baz jo adi nahain hotay lalach main aa kar nishana

ban jatay hain. Is tara woh bhi moashray kay liay gher

mofeed ho jatay hain.

Fael hi nahain mafool bhi bachoon ko nishana banata

hai. Oon ki nafasyati aur illati majbori kay hawala say

takhreeb'kari ko moqa mil jata hai. Oon ka zaihan

takhreeb ka ghonsla ban jata hai. Mafool ki

izzat-e-nafas is adat kay baes bai'mout mar jati hai.

Shakar honay waloon main khoof aur intaqami jazba

parwan charta hai jo aagay chal kar na'siraf onhain

balkah samaj aur moashray ka satyanas mar kar rakh

daita hai. Yah illat-e-baad aati nasal ko bhi montaqil ho

jati hai. Donyan ka koee mazhab ya akhlaqi nazam is

fael-e-baad ko ijazat nahain daita ta'hum jamhoriat is ki

toseeq karnay par zaroor qodrat rakhti hai aur hum'jins

shadioon ko ijazat day sakti hai.

Agar mard, mard kay sath masroof raha to ouratoon ka

(jin ki din ba'din tadaad barh rahi hai) kiya ho ga?!

Moalja:

Bakray ki bareek nali, jis main taza goda mojood ho

panch sat baar anis main rakhi ja'ay. Her bar naee nali li

ja'ay. Kuch waqt rakhnay kay baad jab yah nali nikalain

gay to kiroon say por ho gi.

His Eminency Hazrat Sufi Sheik Shah Dr. Mohammad

Nur ul Alam Sahib nay Amriki Sadar aur os ki intazamiya

ko motnabay kiya hai:

" Homosexuality should not be encouraged at all. It is

against God the Almighty's order in the holy bible, the

glorious holy Quran, the holy Torah, and other holy

religious books of Hinduism and Buddhism. So that

Obama should carefully handle the matter of the

natural power of Almighty and constitutional power of

himself. If you try to match each other in the name of

freedom and democracy, you have to pay for that. Like

Nimrod, the powerful king of the planet after the

biblical flood at the time of Prophey Noah (AS) and Lout

(AS)."

Ulma karam aur Rohaniat say motalaq logoon ko bhi is

janib tovajo daini chahiay. Is tara insaniat ko is

fael-e-baad kay manfi asraat say mafooz rakha ja sakta

hai.

http://www.forumpakistan.com/humjinsi-insaniat-ki-khoofnak-dushman-t28427.html#ixzz44

v82AoSX

Our Eak Jinsi Khalona

Hum jo daikh rahay hotay hain, zarori nahain apni

haqiqat main ossi tara say ho jis tara say hum daikh son

ya mehsus kar rahay hotay hain. Shakhas aur os kay baz

kamoon ko samjhna itna aasan nahain hota. Shakhas to

kaenaat ka eak makhfi raaz hai jissay daryaft karna abhi

baqi hai. Hamara raad'amal daikhay, sonay ya mehsus

kiay kay motabaq hota hai. kisi baat ya moamlay ki asal

tak rasaee kay bagher raad'amal boray ya bar'aks nataej

ka hamil ho sakta hai. kisi shakhas kay kahay ya kiay ki

asal tak rasaee ka eak zariya body language ka janna bhi

kar'aamad hatyar hai.

Cehra insan kay batan ka aaena hota hai. Yah insan kay

andar ka haal ahwal chopnay nahain daita. Dukh kay

moqa par shadeed dukh ka izhaar batni bhi hai ya meaz

dikhawa hai, chehra parnay kay baad kuch poshida

nahain rehta. Qehqahay moskarahatain aur khushi asli

hai ya naqli, insan ka cehra wazay kar daita hai.

Inter-net par Jahan tamam aloom-o-fanoon kay

motalaq chizain wafar mil jati hain wahan date sites bhi

bai'shamar mojood hain. Mujhy in date sites ko qareeb

say daikhnay ka itafaq howa hai. Yah sites Rosi khatein

say motalaq hain. Mein nay bohat sari khatein kay

cehroon aur oon kay messages ka bari bareek'bini say

motala kiya hai. Mein apna motala yahan bari

eman'dari aur pori zima'dari say paish kar raha hoon:

Ourat khof'nak haad tak tanhaee ka shakar hai.

Bai'chargi baibasi aur baikasi aazadi kay naam par os

kay hawalay kar di gaee hai.

Dar, khoof, haras, khadsha, bai'yaqini, mausi, andaisha

aur la'yaeniat ki qaid main moqayad ho kar reh gaee

hai.

Adam'tahafaz ka bori tara shakar ho gaee hai.

Ossay apna aata kal kho giya mehsus hota hai.

Woh andhairoon ki qaid main hai.

Os kay aagay pichay kuch bhi nahain.

Jis kay natija main os ki jinib say teen tara kay rovaeay

samnay aa'ay hain:

1- Os nay apni zaat say intaqam laina shoru kar diya hai.

Khud aziyati say ossay sakoon milta hai.

2- Nashay main kho kar tamam talkhioon ko bhool

janay ki na'kaam saee main masroof hai.

3- Kaee rang roop ikhtayaar karkay apnay

tashna-e-takmeel khaboon ki tabeer hasil karnay ki

koshesh main masroof hai.

Rosi khatein kay hawala say mairi samjh main tein

batain aee hain:

a- Afghanisstan ki jang main marnay walay mardoon

kay manfi asraat abhi khatam nahain howay.

b- Mard zehni aur jismani toor par kamzoor par ga'ay

hain.

c- Ouratoon ki shara-e-padaesh main azafa howwa.

Kuch logoon ka kehna hai kah yah ouratain adi ho gaee

hain. na'ay mardoon say jinsi malaap ka chaska nashay

ki si surat ikhtayar kar giya hai aur ab in ka koee alaj

momkin hi nahain. Yah issi tara hi rahain gi. Chon'kah

yah na'qabal-e-itamad hain aur yah eak mard par iktafa

na kar sakain gi lihaza inhain jiwan sathi banana

hamaqat say ziyada nahain.

Yahaan maira eak sawal hai kah yah ouratain mard kay

bagher jinsi taskein hasil kar laiti hain?!

Yaqenan nahain,

Aisay main in ouratoon say jinsi milaap karnay walay

mardoon ko kiya kahna chahiay?!

Kiya woh bhi adi ho gay hain?

Goya tali eak hath say nahain donoon hatoon say baj

ahi hai. Is hawala say mein ba'toor mard, mardoon ki

kisi qisam ki waqalat kay liay raza'mand nahain hoon.

Maira is baat par israar hai kah mard ki khud'kharzi kay

hawala say ourat tanha ho gae hai. Aaj donyaan ka her

mard Dalar kamanay ki fikr main hai. Is kaam kay

hawala say woh sab samaji-o-akhlaqi taqazay bhool

giya hai. Ourat os kay liay shay say ziyada nahain rahi.

Aisi shay jo istamal kay baad os kay liay na'kara ho jati

hai.

Ourat shay nahain, shakas hai. Shakas aur shay main

zamein aur aasman ka faraq hai. Ourat ko tahafaz aur

khush'kon mostaqbal ki zarorat hai. Ossay eak mostaqil

sathi chahiay ta'kah:

Ossay mostaqil toor par jinsi taskein ki saholat

mayassar aa sakay.

Os ki moashi zaroratain pori hoon.

Os kay bachoon ka koee baap bhi ho aur bachoon kay

mostaqbal kay liay fikar'mand ho.

Koee aisa to ho jo os ka apna ho aur jis say woh apna

dukh sukh bant sakay.

Koee aisa bhi ho jis say woh tovaqaat wabasta kar

sakay.

Koee aisa bhi ho jis say woh piyar karay. Ghagra karay.

Os kay naz nakhray othanay wala os ka apna ho jis say

apnay reshtay ka ta'araf kara sakay.

Bai'chint ho kar oulaad ki parwaresh kar sakay.

Yah bhi sonnay main aata hai kah yah to ourat ki aazadi

hai.

Ha'aein!

yah kasi aazadi hai jis nay shakas (ourat) ko sex toy, aish

aur aaraesh-o-namaesh ka zariya bana kar rakh diya hai.

Bhok bhi bohat bari bala hai. Bhok shakas ko jaez

na'jaez akhlaq gher'akhlaq asool aur gher'asool say

kosoon door lay jati hai. Bhok kisi ki dost nahain. Is ka

hal roti aur siraf roti hi hai. Ghalibun bhok bhi ourat ko

is janib lay aae hai. Jis kay natija main woh darust aur

na'darust ko bholnay par majboor ho gae hai.

Jinsi lutaf'andozi kay liay to her mard midan main aa

jata hai laikin jiwan sathi bananay kay liay koee taiyar

nahain. Wahan wazay'dari aaray aa jati hai. Inter-net

par jism faroshi kay aday khol gay hain. Ourat ko

kamaee ka zariya bana liya giya hai. Is karobar kay malik

sharif izzat'dar aur mohtaram fard hain. Hamaray haan

in kay liay lafz "dalla" oon kay kaam ko "dalla'giri" aur

hasil honay wali kamaee ko "dalali" ka naam diya jata

tha. Yah sosaeti kay ghaleez tarein aur ghatya qisam kay

log samjhay jatay thay.

Daikhna yah hai kah:

yah ouratain aazad ho gaee hain ya ayash ho gaee hain

ya jism faroshi ki adi?

Yah sab kuch issi tara say chaltay rehna chahiay?

Kiya ourat ko baibas, majboor aur tanha choor daina

chahiay?

Kiya ourat ka issi tara sex toy banay rehna thek hai?

Sawal yah bhi othta hai:

Is qisam ki ouratoon ki kokh say janam lainay wali

oulaad jo baap kay bagher parwan charay gi, aatay kal

ko os ki shaksiat adhori na reh ja'ay gi?

Aakhir en sawalaat par koe ghoor karnay ko kayoon

taiyar nahain. Bai'waqar, ehtaram say mehroom kamae

ka zariya, eak shay, aur sex toy say khir ki towaqo

hamaqat nahain????????

14 soo saal pehlay Islam nay 4 shadioon ki ijazat di. Is

ijazat ka koee to maqsad aur jawaz ho ga. Allah ko ilm

tha kah mard ourat ka ginti main tawazan bigar ja'ay ga.

Is tara ouratoon ka ghar bas sakay ga aur onhain samaji

moqam hasal ho sakay ga. Eak bazari aur chalti ourat ka

moashray main bhala kiya moqam hai. Yah bji kah

onhain tahafaz mayassar aa ssakay ga?

Adyaan, khasusan Islam nay ourat ko izzat ehtaram aur

tahafaz diya hai. Olma-e-adyaan ko eak say ziyada

shadioon kay moamla main khul kar aur ossi tara say

baat karni chahiay jis tara say baat karnay ka haq hai. Is

tara fahashi kay darwazay band ho sakain gay.

Fahashi kharabioon aur boraeoon ki jar hai. Is kay sabab

zindagi ka tawazan bigar raha hai. Ourat,

orat kay liay dil bara karay ta'kah ourat ko sex toy

honay say bachaya ja sakay aur woh por'itmad

mata/maan sabat ho sakay. Yahhi nahain ourat ki

shakhsi anna ko tahafaz faraham kiya ja sakay.

Fri May 29, 2009 6:55 am

Rana Naeem

Thanks, good post

urfi67

this is the hall mark of western culture which has made

women just a commodity for the use of males,,,indians

are also following it blindly and are projecting women

in the most abnoxious manner

I K QAZI

Moderator

Location: Germany

Dr.Maqsood Sahib! Aap ki Iss cheez se Mujhe Ikhtilaaf

he K Aap Shaksiat parasti k Mojab ho rahen hain.Hume

Islam Ki Taleemat ko Quran O Sunat ki taleemat thak hi

Mehdood rakhni chahiye aur ye Rohani Paishawahoh

waghaira k Chakroh se Bachna chahiye.Humara Quaid

Iss Silsille me Sirf Rasool Kareem MOHAMMAD (SAW) ki

Zaat e Girami he na k Alama Shah Soofi,Dr. Mohammad

Noor Alam ya kohi aur Waghaira.Hum khud ko inni

Deen K Khilaaf Rawishoh se khud aur Qaom Ko

Taqseem Dar Taqseem kar Raheh hain.Aur iss k saath

saath Firqa,Giroh parasti aur Shaksiat parasti ko Hawa

deh raheh hain.Hume chahiye k Ba hesiat e Qaom Iss

Mulk me Islami Nizaam ka (Islam k asli tasawar k

Mutabiq yani Iss ki Rooh k mutabiq) nifaaz ka

ehtemaam kareh.Me iss ko kissi bhi Giroh,Party,Shakhs

ya Talibaan jaise loagoh ki bajay "Imarat"(State) k zariye

Awaam ki Aksariat ke Israar par iss k nifaaz ko drust

samajhta hooh.Baray Karam Hume Kissi aur k parcham

ki bajay QURAN O SUNNAH k Gird jamah hona chahiye.

Dr Maqsood Hasni

aap nay tovajo farmae, es meharbani k liay

mamoon hoon.

I K QAZI

You are most welcome.Me Aap k Ache Akhlaq se

ohat hi Mutasir hooh.Ho sakta he k humare

khayalaat me ikhtilaf ho lehkin aap ki Kawishoh

ko me zaroor parrh ka saraahta hooh.

Dr Maqsood Hasni

Allah Sahib aur Aaqa karim k siwa kuch bhi

aakhri nahain.

mamoli motay moshahiday aur tajarbay ka

shakas hoon. khaha ghalt ho sata hai ya os main

kahein azafay ki gonjaesh ho sakti hai.

ahbaab hi behtar ra'ay day saktay hain ya baat

ko aagay barha saktay hain.

tehreer kaghaz par aa gae hai ab yah ahbaab ki

hai mein to kuch kehnay ki positin main hi

nahain hoon.

likin ekhtalaaf dushmani to nahain.

yah to aap ki mohabat aur karam'farmae hai jo

aap nay apni ra'ay ka izhar kiya.

Allah Sahib aap ko kush rakhy.

I K QAZI

Dr.Maqsood Aap Samet.Me khud bhi Ahl e Zuban

nahih hooh,Hah Iss Urdu Zaban se Muhabbat

bohat he aur ye Mere liye Izhaar aur Raabthe ki

behter zaban he.English ki aik misaal he k:"By

Reading we enrich our minds & By conversation

we polish it".Tho mere liye Mukalme ka hona aik

sehatmand Roajhaan he.Chunke Aap aam

Rawish se Hatt karr Thorra Gehrahi me Jhankhte

Hain tho Issi Liye Me Aap Ke Posts par na sirf

Tawajo mabzool rakhta hooh balke Hat Al Wasa

Izhaar bhi Kartha Hooh.Insha ALLAH Ye Bahimi

Khuloos,Mukaalme aur Bahimi Ehteram Ka

Silsila Jari rahe ga.

Dr Maqsood Hasni

yaqinan yah rabt hum donoon ko kush aa'ay ga.

apna khayaal rakheay ga.

http://www.forumpakistan.com/eak-jinsi-khalona-t28122.html#ixzz44v6F1lwW

Hooray! Your file is uploaded and ready to be published.

Saved successfully!

Ooh no, something went wrong!